\startsong
\stitle{jag me.n aakar idhar udhar dekhaa}
\singers{Khwaja Mir Dard #10}
\printtitle
#indian
jag me.n aakar idhar udhar dekhaa
tuu hii aayaa nazar jidhar dekhaa
jaan se ho gaye badan Kaalii
jis taraf tuune aa.Nkh bhar ke dekhaa
naalaa fariyaad aah aur zaarii
aap se ho sakaa so kar dekhaa
un labo.n ne kii na masihaa_ii
ham ne sau -sau tarah se mar dekhaa
zor aashiq mizaaj hai ko_ii
"Dard" ko qisaa-e-muKtasar dekhaa
#endindian
\endsong