% \startsong \stitle{ai sanam tujh se mai.n jab duur chalaa jaauu.ngaa}% \film{}% \year{}% \starring{}% \singer{Hussaini Bros.}% \music{}% \lyrics{Anwar}% % % Contributor: Vandana Sharma (uusharma@uxa.ecn.bgu.edu) % Transliterator: Ravi Kant Rai (rrai@plains.nodak.edu) % Editor: Anurag Shankar (anurag@astro.indiana.edu) % \printtitle #indian % (ai sanam tujh se mai.n jab dUr chalaa jaauu.ngaa \- 2 yaad rakhanaa ke tujhe yaad bahut aauu.Ngaa ) \- 2 ai sanam tujh se mai.n jab dUr chalaa jaauu.ngaa ye milan aur ye hasiin raat nA jaane kab ho saa.Njh ke baad mulaakaat nA jaane kab ho ab tere shahar musaafir kii tarah aauu.Ngaa ai sanam \threedots chaa.Nd ke aks me.n sUraj kii hasii.n kiran me.n jhiil ke aaIne me.n bahate hue jharano me.n in nazaaro.n mai.n tujhe mai.n hii najar aauu.Ngaa ai sanam \threedots yaad jab aaegii vo pahalii mulaaqaat tujhe aur muhabbat ke fasaane kii har ik baat tujhe tere khvaabo.n me.n khayaalo.n me.n chalaa aauu.Ngaa ai sanam \threedots tujh ko is giit kA har sher karegaa bekal merI yaad aaegii jab bhI tujhe ai jaan\-e\-Gazal nagamaa ban ban ke khayaalaat pe chhaa jaauu.ngaa ai sanam \threedots % #endindian \endsong %