% \startsong \stitle{cha.Dhataa suuraj dhiire dhiire Dhalataa hai Dhal jaayegaa}% \film{}% \year{}% \starring{}% \singer{}% \music{}% \lyrics{}% % % Contributor: Satish Subramanian (subraman@cs.umn.edu) % Transliterator: Ravi Kant Rai (rrai@ndsun.cs.ndsu.nodak.edu) % Credits: % Editor: Anurag Shankar (anurag@astro.indiana.edu) % \printtitle #indian % hue naamavar \threedots benishaa.n kaise kaise \threedots zamii.n khaa gayii \threedots naujavaan kaise kaise \threedots aaj javaanii par itaraanevaale kal pachhataayegaa \- 3 cha.Dhataa sUraj dhiire dhiire Dhalataa hai Dhal jaayegaa \- 2 Dhal jaayegaa Dhal jaayegaa \- 2 tU yahaa.N musaafir hai ye saraaye faanii hai chaar roj kii mehamaa.n terii zindagaanii hai zar zamii.n zar zevar kuchh naa saath jaayegaa khaalii haath aayaa hai khaalii haath jaayegaa jaanakar bhii anjaanaa ban rahaa hai diivaane apanii umr e faanii par tan rahaa hai diivaane kis kadar tU khoyaa hai is jahaan ke mele me tu khudaa ko bhuulaa hai pha.nsake is jhamele me aaj tak ye dekhaa hai paanevaale khotaa hai zindagii ko jo samajhaa zindagii pe rotaa hai miTanevaalii duniyaa kaa aitabaar karataa hai kyaa samajh ke tuu aakhir ise pyaar karataa hai apanii apanii fikro.n me.n jo bhii hai vo ulajhaa hai \- 2 zindagii haqiikat me.n kyaa hai kaun samajhaa hai \- 2 aaj samajhale \threedots aaj samajhale kal ye maukaa haath n tere aayegaa o gafalat kii nii.nd me.n sonevaale dhokhaa khaayegaa cha.Dhataa sUraj dhiire dhiire Dhalataa hai Dhal jaayegaa \- 2 Dhal jaayegaa Dhal jaayegaa \- 2 maut ne zamaane ko ye samaa dikhaa Daalaa kaise kaise rustam ko khaak me.n milaa Daalaa yaad rakh sikandar ke hausale to aalii the jab gayaa thaa duniyaa se dono haath khaalii the ab naa vo halaakU hai aur naa usake saathii hai.n ja.ng jo na koras hai aur na usake haathii hai.n kal jo tanake chalate the apanii shaan\-o\-shaukat par shamaa tak nahii jalatii aaj unakii qurabat par adanaa ho yaa aalaa ho sabako lauT jaanaa hai \- 2 mufhiliso.n kaa andhar kaa kabr hii Thikaanaa hai \- 2 jaisii karanii \threedots jaisii karanii vaisii bharanii aaj kiyaa kal paayegaa sarako uThaakar chalanevaale ek din Thokar khaayegaa cha.Dhataa sUraj dhiire dhiire Dhalataa hai Dhal jaayegaa \- 2 Dhal jaayegaa Dhal jaayegaa \- 2 maut sabako aanii hai kaun isase chhuuTaa hai tU fanaa nahii hogaa ye khayaal jhuuThaa hai saa.Ns TUTate hii sab rishte TuuT jaaye.nge baap maa.N bahan biivii bachche chhuuT jaaye.nge tere jitane hai.n bhaaI vaqatakaa chalan de.nge chhiinakar terii daulat dohii gaz kafan de.nge jinako apanaa kahataa hai sab ye tere saathii hai.n kabr hai terii ma.nzil aur ye baraatii hai.n laa ke kabr me.n tujhako muradaa bak Daale.nge apane haatho.nse tere mu.Nh pe khaak Daale.nge terii saarii ulfat ko khaak me.n milaa de.nge tere chaahanevaale kal tujhe bhulaa de.nge is liye ye kahataa huu.N khuub sochale dil me.n kyuu.N pha.nsaaye baiThaa hai jaan apanii mushkil me.n kar gunaaho.n pe taubaa aake bas sambhal jaaye.n \- 2 dam kaa kyaa bharosaa hai jaane kab nikal jaaye \- 2 muTThii baa.Ndhake aanevaale \threedots muTThii baa.Ndhake aanevaale haath pasaare jaayegaa dhan daulat jaagiir se tuune kyaa paayaa kyaa paayegaa cha.Dhataa sUraj dhiire dhiire Dhalataa hai Dhal jaayegaa \- 4 % #endindian \endsong %