% \startsong \stitle{dil ko dekho, cheharaa na dekho, chehare ne laakho.n ko luuTaa}% \film{Sachcha Jhootha}% \year{1970}% \starring{Rajesh Khanna, Mumtaz}% \singer{Kishore}% \music{Kalyanji-Anandji}% \lyrics{Indeevar}% % % Contributor: % Transliterator: Arati Deo (arati@rice.edu) % Credits: Preetham Gopalaswamy (preetham@src.umd.edu) % Editor: % \printtitle #indian % dil ko dekho, cheharaa na dekho chehare ne laakho.n ko luuTaa haa.N, dil sachchaa aur cheharaa jhuuThaa, dil sachchaa aur cheharaa jhuuThaa jo apanii sachchii suurat dikhaa de.n, aise nahii.n duniyaavaale sab ne hii apane cheharo.n ke aage, jhuuTh ke parade hai.n Daale miiThii hoTho.n pe baat, dil me.n rahatii hai khaat dil kaa ho.nTho.n se naataa hii jhuuThaa haa.N, dil sachchaa aur cheharaa jhuuThaa, dil sachchaa aur cheharaa jhuuThaa tan se to aazaad ham ho gaye hai.n, man se ga_ii naa gulaamii paradeshii bhaashhaa aur veshh ko hii, dete hai.n ab tak salaamii bhuulakar apanaa ra.ng, siikhe auro.n kaa Dha.ng apanepan kaa chalan hamase chhuuTaa haa.N, dil sachchaa aur cheharaa jhuuThaa, dil sachchaa aur cheharaa jhuuThaa marzii tumhaarii tum kuchh bhii samajho, jo ham hai.n vo ham hii jaane ra.ng ruup dekhe.n to dekhe.n zamaanaa, ham pyaar ke hai.n dIvaane puuje dhan ko sa.nsaar, hame man se hai pyaar dhan kisii baat par hamase ruuThaa haa.N, dil sachchaa aur cheharaa jhuuThaa, dil sachchaa aur cheharaa jhuuThaa % #endindian \endsong %