% \startsong \stitle{duniyaa o duniyaa, teraa javaab nahii.n}% \film{Naya Zamaana}% \year{1971}% \starring{Dharmendra, Hema Malini, Pran, Lalita Pawar}% \singer{Kishore}% \music{S D Burman}% \lyrics{Anand Bakshi}% % % Contributor: % Transliterator: Anurag Shankar (anurag@astro.indiana.edu) % Credits: R.A. Gupte (gupte@ele.uri.edu) % Editor: % \printtitle #indian % % duniyaa o duniyaa, teraa javaab nahii.n terii jafaao.n kaa, bas koI hisaab nahii.n tuu chhaa.nv hai yaa hai dhuup khabar kisako kyaa hai teraa asalii ruup khabar kisako aaye nazar kaise tuu aa.Nsuu hai, Kvaab nahii.n duniyaa o \threedots tere zubaa.n pe hai, zikr sitaaro.n kaa, tere labo.n pe hai, naam bahaaro.n kaa par tere daaman me.n, kaa.NTe hai.n, gulaab nahii.n duniyaa o \threedots ye kin khayaalo.n me.n, kho gaye hai.n aap, kyo.n kuchh pareshaa.N se, ho gaye hai.n aap aapase to mujhako kuchh shiqavaa janaab nahii.n duniyaa o \threedots % #endindian \endsong %