% \startsong \stitle{ek tuu jo milaa, saarii duniyaa miilii, khilaa jo meraa dil}% \film{Himalay Ki God Mein}% \year{1965}% \starring{Manoj Kumar, Mala Sinha, Shashikala}% \singer{Lata}% \music{Kalyanji-Anandji}% \lyrics{Indeevar}% % % Contributor: Ajit Dandekar (ABD105@psuvm.psu.edu) % Transliterator: Ravi Kant Rai (rrai@plains.nodak.edu) % Editor: Anurag Shankar (anurag@astro.indiana.edu) % \printtitle #indian % % other popular songs % like "oye tu raat khadi thi chhat pe ni main samjha ke chand nikla" % and "chandsi mehbooba ho meri kab aisa maine socha tha " % and "kankariya marke jagaya kal tu mere sapne mein aaya " % ##Happy Version:## ek tuu jo milaa, saarii duniyaa milii khilaa jo meraa dil saarii bagiyaa khilii tU sUraj mai.n sUrajamukhii huu.N piyaa naa dekhuu.N tujhe to khile naa jiyaa tere ra.ng mai.n ra.ngii mere dil kii kalii khilaa jo \threedots anokhaa hai.n ba.ndhan ye ka.Ngan saajan binaa Dor ke ba.ndh gayaa meraa man tU jidhar le chal mai.n udhar hii chalii khilaa jo \threedots kabhI jo naa bichha.De vo sAthI huu.N mai.n tU meraa diyaa teraa bAtI huu.N mai.n bujhaayaa bujhii jalaayaa jalii khilaa jo \threedots ek tU naa milaa \threedots ##Sad Version:## ek tU naa milaa, sArI duniyaa mile bhI to kyaa hai meraa dil naa khilaa, sArI bagiyaa khile bhI to kyaa hai dharatii huu.N mai.n aur tU hai gagan hogaa kahaa.N teraa meraa milan laakh pahere yahaa.N, pyaar dil me.n pale bhI to kyaa hai.n ek tU naa milaa \threedots taqadIr kii mai.n koI bhuul huu.N Daalii se bichha.Daa huaa phuul huu.N sAth teraa nahii.n sa.ng duniyaa chale bhI to kyaa hai ek tU naa milaa \threedots tujhase lipaTakar jo ro lete ham aa.NsU nahii.n the ye motii se kam teraa daaman nahii.n, ye aa.Nsuu Dhale bhI to kyaa hai ek tU naa milaa \threedots % #endindian \endsong %