% \startsong \stitle{Gam kii a.ndherii raat me.n}% \film{Sushila}% \starring{}% \singer{Talat, Rafi}% \music{C Arjun}% \lyrics{Jaan Nisar Akhtar}% % % Contributor: Guri (buxi@ix.netcom.com) % Transliterator: Ravi Kant Rai (rrai@plains.nodak.edu) % Editor: Anurag Shankar (anurag@chandra.astro.indiana.edu) % \printtitle #indian % rafii: Gam kii a.ndherii raat me.n dil ko nA beqaraar kar subah zaruur aayegii subah kA intazaar kar Gam kii a.ndherI raat me.n talat: dard hai saarii zindagI jisakaa koI silaa nahii.n dil ko fareb dIjiye aur ye hausalaa nahii.n \- 2 rafii: khud se to badaGumaa.N nA ho khud pe to aitabaar kar subah zaruur aayegii subah kA intazaar kar Gam kii andherI raat me.n talat: khud hii ta.Dap ke rah gaye dil ki sadaa se kyaa milaa aag se khelate rahe ham ko vafaa se kyaa milaa \- 2 rafii: dil kI lagii bujhaa nA de dil kI lagii se pyaar kar subah zaruur aayegii subah kA intazaar kar Gam kii a.ndherI raat me.n \threedots % #endindian \endsong %