% \startsong \stitle{hamane dekhii hai in aa.Nkho.n kii mahakatii khushabuu}% \film{Khamoshi}% \starring{Waheeda Rehman, Rajesh Khanna, Dharmendra}% \singer{Lata}% \music{Hemant}% \lyrics{Gulzar}% % % Contributor: Satish Subramanium (subraman@cs.umn.edu) % Transliterator: Arati Deo (arati@rice.edu) % Credits: Sandip Joshi (sjoshi@eng.clemson.edu) % Editor: % \printtitle #indian % hamane dekhii hai in aa.Nkho.n kii mahakatii khushabuu haath se chhuuke ise rishto.n kaa ilzaam na do sirf ehasaas hai ye ruuh se mahasuus karo pyaar ko pyaar hii rahane do koii naam na do hamane dekhii hai \threedots pyaar koii bol nahii.n, pyaar aavaaz nahii.n ek khaamoshii hai sunatii hai kahaa karatii hai naa ye bujhatii hai naa rukatii hai naa Thaharii hai kahii.n nuur kii buu.Nd hai sadiyo.n se bahaa karatii hai sirf ehasaas hai ye, ruuh se mahasuus karo pyaar ko pyaar hii rahane do, koii naam naa do hamane dekhii hai \threedots muskaraahaT sii khilii rahatii hai aa.Nkho.n me.n kahii.n aur palako.n pe ujaale se chhupe rahate hai.n ho.nTh kuchh kahate nahii.n, kaa.Npate ho.nTho.n pe magar kitane khaamosh se afasaane ruke rahate hai.n sirf ehasaas hai ye, ruuh se mahasuus karo pyaar ko pyaar hii rahane do, koii naam naa do hamane dekhii hai \threedots % #endindian \endsong %