% \startsong \stitle{husnavaale teraa javaab nahii.n koi tujhasaa nahii.n hazaaro.n me.n}% \film{Gharana}% \year{}% \starring{Rajendra Kumar, Raaj Kumar, Asha Parekh}% \singer{Rafi}% \music{Ravi}% \lyrics{Shakeel}% % % Contributor: Satish Subramanian (subraman@cs.umn.edu) % Transliterator: Shripad Lale (lale@cent.gud.siemens.co.at) % Credits: Samiuddin Mohammed (sm0e@Lehigh.EDU) % Rajan Parrikar (parrikar@spot.colorado.edu) % Sanjeev Ramabhadran (sanjeevr@phoenix.princeton.edu) % Editor: % \printtitle #indian % husn vaale teraa javaab nahii.n koI tujhasaa nahii.n hazaaro.n me.n tuu hai aisii kalii jo gulashan me saath apane bahaar laayii hai tuu hai aisii kiran jo raat Dhale chaa.ndanii me nahaa ke aayii hai ye teraa nuur ye tere jalave jis tarah chaa.nd ho sitaaro.n me.n husn vaale \threedots terI aa.Nkho.n me aisii mastii hai jaise chhalake hue ho.n paimaane tere hoTho.n pe vo khaamoshii hai jaise bikhare hue ho afasaane terii zulfo.n kii aisii ra.ngat hai jaise kaalii ghaTaa bahaaro.n me.n husn vaale \threedots terii suurat jo dekhale shaayir apane shero.n me taazagii bhar le ek musavvir jo tujhako paa jaae apane khvaabo.n me zindagii bhar le naGamaagar Dhuu.NDh le agar tujhako dard bhar le vo dil ke taaro.n me husn vaale teraa javaab nahii.n % #endindian \endsong %