% \startsong \stitle{sun chaa.Nd merii yah daastaan}% \film{Naag Jyoti}% \year{1963}% \starring{Mahipal, Anita Guha, Indira}% \singer{Mukesh}% \music{Sardar Malik}% \lyrics{Bharat Vyas}% % % Contributor: Kamlesh Nanavati % Transliterator: Rajiv Shridhar % Date: 10/30/1996 % Credits: ADhareshwar@worldbank.org % \printtitle #indian % sun chaa.Nd merii yah daastaan, mai.n kahuu.N tujhe yaa ke na kahuu.N terii chaa.Ndanii tere paas hai, mujhe yah bataa mai.n kahaa.N rahuu.N sun chaa.Nd merii yah \threedots khilii rain me.n dekho chain se, hai yah saaraa aalam so rahaa tere in sitaaro.n kii chhaa.Nv me.n, mai.n akelaa chup\-chaap so rahaa lagii aag birah kii a.Ng me.n, mai.n sahuu.N ise yaa ke na sahuu.N sun chaa.Nd merii yah\threedots voh nazar jo dil me.n utar ga_ii, jaise chubh gayaa koii shuul ho voh hathelii par teraa mukh sajaa, jaise phuul par koii phuul ho yuu.N bahe nadii terii yaad kii, mai.n bahuu.N yahaa.N yaa ke na bahuu.N sun chaa.Nd merii yah \threedots % #endindian \endsong %