% \startsong \stitle{chehare pe girii zulfe.n}% \film{Suraj}% \year{1966}% \starring{Rajendra Kumar, Vyjayantimala, Ajit}% \singer{Rafi}% \music{Shankar-Jaikishan}% \lyrics{Hasrat}% % % Contributor: K Vijay Kumar % Transliterator: K Vijay Kumar % Credits: % Editor: % \printtitle #indian % chehare pe girii zulfe.n kah do to haTaa duu.N mai.n gustaaKii maaf, gustaaKii maaf ik phuul tere juu.De me.n kah do to lagaa duu.N mai.n gustaaKii maaf, gustaaKii maaf ye ruup, hasii.n dhuup, bahut khuub hai lekin ulfat ke binaa phiikaa cheharaa teraa ra.ngiin ik diip muhabbat kaa, kah do to jalaa duu.N mai.n gustaaKii maaf, gustaaKii maaf chehare pe girii zulfe.n \threedots ik aag, lagii hai, mere zakhm\-e\-jigar me.n ye kaisaa karishmaa hai terii shokh nazar me.n jo baat rukii lab par, kah do to bataa duu.N mai.n gustaaKii maaf, gustaaKii maaf chehare pe girii zulfe.n \threedots sarakaar, huaa pyaar, Kataa hamase hu_ii hai ab dil me.n tum hii tum ho, ye jaa.N bhii terii hai ab chiir ke is dil ko kah do to dikhaa duu.N mai.n gustaaKii maaf, gustaaKii maaf chehare pe girii zulfe.n \threedots % #endindian \endsong %