% \startsong \stitle{ghir ghir ke aasamaa.N par}% \film{Bawre Nain}% \year{1950}% \starring{Raj Kapoor, Geeta Bali}% \singer{Rajkumari, Asha}% \music{Roshan}% \lyrics{Kedar Sharma}% % % Contributor: K Vijay Kumar % Transliterator: K Vijay Kumar % Credits: Anant Rege % Comments: Vishwas Nerulkar's Swarasha lists this song as being a duet with % Asha. A solo version by Rajkumari also exists. The film version % is the duet. % Editor: % \printtitle #indian % ghir ghir ke aasamaa.N par chhaane lagii ghaTaae.n kah do koii piyaa se paradesavaa na jaae.n qaabuu me.n dil nahii.n hai, na hosh me.n javaanii besudh banaa rahii hai.n mastii bharii havaae.n kah do koii piyaa se \threedots terii ha.Nsii to jaakar phuulo.n me.n chhup gayii thii koyal kii kuuk banakar guu.Njii merii sadaae.n kah do koii piyaa se \threedots tuu apanii o.Dhanii me.n man baa.Ndh le.n piyaa kaa phir naa unhe.n tuu bhuule na vo tumhe.n bhulaae.n kah do koii piyaa se \threedots % #endindian \endsong %