% \startsong \stitle{haal kyaa hai dilo.n kaa na puuchho sanam}% \film{Anokhi Ada}% \year{1973}% \starring{Jeetendra, Rekha, Vinod Khanna}% \singer{Kishore}% \music{Laxmikant-Pyarelal}% \lyrics{Majrooh}% % % Contributor: % Transliterator: K Vijay Kumar % Credits: % Editor: % \printtitle #indian % haal kyaa hai dilo.n kaa na puuchho sanam aap kaa muskuraanaa Gazab Dhaa gayaa ik to mahafil tumhaarii hasii.n kam na thii us pe meraa taraanaa Gazab Dhaa gayaa haal kyaa hai dilo.n kaa \threedots ab to laharaayaa mastii bharii chhaa.Nv me.n baa.Ndho lo chaahe ghu.Ngharuu mere paa.Nv me.n mai.n bahakataa nahii.n thaa magar kyaa karuu.N aaj mausam suhaanaa Gazab Dhaa gayaa haal kyaa hai dilo.n kaa \threedots har nazar uTh rahii hai tumhaarii taraf aur tumhaarii nazar hai hamaarii taraf aa.Nkh uThaanaa tumhaaraa to phir Thiik thaa aa.Nkh uThaakar, jhukaanaa Gazab Dhaa gayaa haal kyaa hai dilo.n kaa \threedots mast aa.Nkho.n kaa jaaduu jo shaamil huaa meraa gaanaa bhii sunane ke qaabil huaa jisako dekho vahii aaj behos hai aaj to mai.n diivaanaa Gazab Dhaa gayaa haal kyaa hai dilo.n kaa \threedots % #endindian \endsong %