\startsong \stitle{dil hii to hai na sa.ng-o-Khisht, dard se bhar na aae kyuu.N} \lyrics{Mirza Ghalib} \singers{Begum Akhtar} \printtitle #indian dil hii to hai na sa.ng-o-Kisht, dard se bhar na aae kyuu.N roe.nge ham hazaar baar, koii hame.n sataaye kyuu.N dair nahii.n, haram nahii.n, dar nahii.n, aastaa.N nahii.n baiThe hai.n rahaguzar pe ham, Gair hame.n uThaae kyuu.N %[dair = temple; haram = mosque; aastaa.n = door; rahaguzar = street] qaiid-e-hayaat-o-band-e-Gam, asl me.n dono ek hai.n maut se pahale aadamii Gam se nijaat paaye kyuu.N %[qaiid-e-hayaat = prison of life; band-e-Gam = chain of sorrow; nijaat = freedom] Ghalib-e-Kastaa ke baGair, kaun se kaam ba.nd hai.n roii_e zaar zaar kyaa, kiijiiye haae haae kyuu.N #endindian \endsong