\startsong \stitle{shaam-e-firaaq ab na puuchh aaii aur aa ke Tal gaii} \lyrics{Faiz aahmed Faiz} \singers{Begum Akhtar} \printtitle #indian shaam-e-firaaq ab na puuchh aaii aur aa ke Tal gaii dil thaa ke phir bahal gayaa jaa.N thii ke phir sambhal gaii bazm-e-Kayaal me.n tere husn kii shamaa jal gaii dard kaa chaa.Nd bujh gayaa hijr kii raat Dhal gaii jab tujhe yaad kar liyaa, sub_h mahak mahak uThii jab teraa Gam jagaa liyaa, raat machal machal gaii dil se to har muaamalaa kar ke chale the saaf ham kahane me.n unake saamane baat badal badal gaii aaKir-e-shab ke ham-safar 'faiz' na jaane kyaa hue rah gaii kis jagah sabaa, sub_h kidhar nikal gaii #endindian \endsong