\startsong \stitle{duur hai manzil raahe.n mushkil aalam hai tanhaaii kaa} \lyrics{Shakeel Badayuni} \singers{Begum Akhtar} \printtitle #indian duur hai manzil raahe.n mushkil aalam hai tanhaaii kaa aaj mujhe ehasaas huaa hai apanii shikastaa-paaii kaa %[shikastaa_paaii = weakness of the legs] dekh ke mujh ko duniyaaawaale kahane lage hai.n diivaanaa aaj vahaa.N hai ishq jahaa.N kuchh Kauf nahii.n rusvaaii kaa chho.D de.n rasm-e-Kud_nigaarii ko to.D de.n apanaa iimaa.n Katm kiye detaa hai zaalim ruup terii a.nga.Daaii kaa mai.n ne ziyaaye.n husn ko baKshii.n us kaa to koii zikr nahii.n lekin ghar ghar me.n charchaa hai aaj terii raanaaii kaa %[ziyaaye.n = splendour; raanaaii = radiance] ahl-e-hawas ab pachhataataa hai Duub ke bahar-e-Gam me.n 'Shakeel' pahale na thaa in bechaaro.n ko andaazaa gaharaaii kaa %[bahar = sea] #endindian \endsong