\startsong \stitle{raah-e-aashiqii ke maare raah-e-aam tak na pahu.nche} \lyrics{Yahya Jasdanwalla} \singers{Begum Akhtar} \printtitle #indian raah-e-aashiqii ke maare raah-e-aam tak na pahu.Nche kabhii sub_h tak na pahu.Nche, kabhii shaam tak na pahu.Nche mujhe mast agar banaa de ye nigaah-e-mast terii mera haath kyaa nazar bhii kabhii jaam tak na pahu.Nche mujhe apanii bekasii kaa nahii.n Gam Kayaal ye hai kahii.n baat ba.Date ba.Date tere naam tak na pahu.Nche jo ye daur bevafaa hai tera Gam to mustaqil ho vo hayaat-e-aashiqii kyaa jo davaam tak na pahu.Nche %[mustaqil = permanent; dawaam = infinity] ye anokhii barhamii hai ke na bhuule se labo.n par ba_sabiil-e-tazkiraa bhii mere naam tak na pahu.Nche %[barhamii = confusion, injustice; ba_sabiil-e-tazkiraa = by way of discussion] kahii.n is tarah bhii ruuThe na kisii se koii yahya' ke payaam tak na aae ke salaam tak na pahu..Nche #endindian \endsong