\startsong \stitle{zikr us pariivash kaa, aur phiir bayaa.N apanaa} \lyrics{Mirza Ghalib} \singers{Begum Akhtar} \printtitle #indian zikr us pariivash kaa, aur phiir bayaa.N apanaa ban gayaa raqiib aaKiir thaa jo raazadaa.N apanaa %[pariivash=angel, raqiib=enemy, raazadaa.N= confidante] mai vo kyo.N bahut piite bazm-e-Gair me.n yaarab aaj hii huaa ma.nzuur un ko imtihaa.N apanaa ma.nzar ik bula.ndii par aur ham banaa sakate arsh se idhar hotaa kaash ke makaa.N apanaa %[arsh=heaven] ham kahaa.N ke daanaa the kis hunar me.n yaktaa the besabab huaa 'Ghalib' dushman aasmaa.N apanaa %[daanaa = wise/learned, yaktaa=unique] #endindian \endsong