\startsong \stitle{ham ko kisake Gam ne maaraa ye kahaanii phir sahii} \lyrics{Masroor Anwar} \singers{Ghulam Ali} \printtitle #indian ## Qatah: ## "dil kii choTo.n ne kabhii chain se rahane na diyaa jab chalii sard havaa mai.ne tujhe yaad kiyaa is kaa ronaa nahii.n kyo.n tum ne kiyaa dil barbaad is kaa Gam hai ki bahot der me.n barbaad kiyaa" ## Gazal: ## ham ko kisake Gam ne maaraa ye kahaanii phir sahii kisane to.Daa dil hamaaraa ye kahaanii phir sahii dil ke luTane kaa sabab puuchho na sab ke saamane naam aaegaa tumhaaraa ye kahaanii phir sahii nafarato.n ke tiir khaa kar dosto.n ke shahar me.n ham ne kis kis ko pukaaraa ye kahaanii phir sahii kyaa bataae.n pyaar kii baazii vafaa kii raah me.n kaun jiitaa kaun haaraa ye kahaanii phir sahii #endindian \endsong