\startsong \stitle{raate.n thii chaa.Ndanii} \lyrics{} \singers{Habib Wali Mohammed} \printtitle #indian raate.n thii chaa.Ndanii joban pe thii bahaar baago.n me.n phuul jhuum rahe the Kushii ke saath ha.Nsataa thaa paat paat itane me.n ek bha.Nvare kii pyaasii nigaah ne dekhaa jo duur se ek phuul jhuum jhuum ke ha.Nsataa thaa baar baar joban pe thii bahaar u.Dataa huaa machalataa huaa aa gayaa vahaa.N phuulo.n ke aas paas kuchh giit gunagunaake sunaane lagaa use ulfat ke, pyaar ke dekhaa jo chaa.Nd ne ye tamaashaa to ta.Dap gayaa baadal me.n chhup gayaa bha.Nvare kaa pyaar dekh kar sharmaa gayaa gulaab sar ko jhukaa liyaa phuulo.n kii is adaa pe use pyaar aa gayaa bha.Nvare ne ba.D ke phuul ko dil se lagaa liyaa joban pe thii bahaar ik roz kyaa huaa Kamosh thii fizaa the aasmaa.N pe chaa.nd na taare na chaa.Ndanii yaanii ki dopahar bha.Nvare kii narm god me.n soyaa huaa thaa phuul duniyaa se beKabar bha.Nvaraa churaa ke aa.Nkh nihaayat safaaii se haule se uTh gayaa phuulo.n me.n jitanaa ras thaa vo chorii se pii gayaa chupake se u.D gayaa a.nga.Daaii leke phuul uThaa jab havaa chalii dekhaa to usakii mast javaanii thii luT chukii joban pe thii bahaar pahale to is sitam se vo hairaan ho gayaa sadame se ro diyaa phir paagalo.n kii tarah pareshaan ho gayaa bejaan ho gayaa yuu.N phuul ko jo dekhaa to sisakii havaa ne lii har pattii kaa.Np uThii taare se ye na dekhaa gayaa aa.Nkh muu.Nd lii shabanam bhii ro pa.Dii abhii chaman me.n aatii hai phuulo.n pe jab bahaar naGmo.n me.n apanaa qissaa sunaatii hai ye hazaar joban pe thii bahaar #endindian \endsong