\startsong \stitle{phuulo.n kii aarazuu me.n ba.De zaKhm khaae hai.n} \lyrics{Abdul Hamid 'Adam'} \singers{Abdul Hamid Adam} % Contributed by: Rajeev M. Patel \printtitle #indian phuulo.n kii aarazuu me.n ba.De zaKm khaae hai.n lekin chaman ke Kaar bhii ab tak paraae hai.n us par haraam hai Gam-e-dauraa.N kii talKiyaa.N jisake nasiib me.n terii zulfo.n ke saae hai.n %[haraam = forbidden, talKiyaa.N = bitterness] mahashar me.n le gaii thii tabiyat kii saadagii lekin ba.De Kuluus se ham lauT aae hai.n %[mahashar = day of judgement/place of commotion] aayaa huu.N yaad baad-e-fanaa unako bhii 'Adam' kyaa jald mere siikh pe imaan laae hai.n %[baad-e-fanaa = after death] #endindian \endsong