\startsong \stitle{saaGar se lab lagaa ke bahut Khush hai zi.ndagii} \singers{Abdul Hamid Adam #11} \printtitle #indian saaGar se lab lagaa ke bahut Kush hai zi.ndagii sahan-e-chaman me.n aake bahut Kush hai zi.ndagii %[saaGar = wine-glass] aa jaao aur bhii zaraa nazadiik jaan-e-man tum ko qariib paake bahut Kush hai zi.ndagii hotaa ko_ii mahal bhii to kyaa puuchhate ho phir be-vajah muskuraa ke bahut Kush hai zi.ndagii %[mahal = opportunity or often (it has two meanings)] saahil pe bhii to itanii shagufataa ravish na thii tuufaa.N ke biich aake bahut Kush hai zi.ndagii %[saahil = shore; shagufataa = fresh] viiraan dil hai aur "Adam" zi.ndagii kaa raqs ja.ngal me.n ghar banaake bahut Kush hai zi.ndagii %[raqs = dance; ja.ngal = forest] #endindian \endsong