\startsong \stitle{aziiz itanaa hii rakho ke jii sambhal jaae} \lyrics{Obaidullah Aleem} \singers{Obaidullah Aleem} % Contributed by Fayaz Razvi \printtitle #indian aziiz itanaa hii rakho ke jii sa.Nbhal jaae ab is qadar bhii na chaaho ke dam nikal jaae mile hai.n yuu.N to bahut aao ab mile.n yuu.N bhii ke ruuh garmii-e-a.nfaas se pighal jaae muhabbato.n me.n ajab hai dilo.n ko dha.Dakaa saa ke jaane kaun kahaa.N raastaa badal jaae rahe vo dil jo tamannaa-e-taazaa tar me.n rahe Kushaa vo umr jo Kvaabo.n hii me.n bahal jaae mai.n vo charaaG-e-sar-e-rahaguzaar-e-duniyaa huu.N jo apanii zaat kii tanhaaiiyo.n me.n jal jaae har ek lahajaa yahii aarazuu yahii hasarat jo aag dil me.n hai vo sher me.n bhii Dhal jaae #endindian \endsong