\startsong \stitle{aavaara hai.n galiyo.n me.n mai.n aur merii ta.nhaaii} \lyrics{Ali Sardar Jafri} \singers{Ali Sardar Jafri} % Additions by Fayaz Razvi \printtitle #indian aavaara hai.n galiyo.n me.n mai.n aur merii ta.nhaaii jaae.n to kahaa.N jaae.n har mo.D pe rusavaaii ye phuul se chehare hai.n ha.Nste hue guldaste koii bhii nahii.n apanaa begaane hai.n sab raste raahe.n hai.n tamaashaaii rahii bhii tamashaaii mai.n aur merii tanahaaii armaan sulagate hai.n siine me.n chitaa jaise qaatil nazar aatii hai duniyaa kii havaa jaise rotii hai mere dil par bajatii huii shehanaaii mai.n aur merii tanahaaii aakash ke maathe par taaro.n kaa charaaGaa.N hai pahaluu me.n magar mere zakhmo.n kaa gulistaa.N hai aa.Nkho.n se lahuu Tapakaa daaman me.n bahaar aaii mai.n aur merii tanahaaii har ra.ng me.n ye duniyaa sau ra.ng dikhaatii hai rokar kabhii ha.Nsatii hai ha.Ns kar kabhii gaatii hai ye pyaar kii baahe.n hai.n yaa maut kii a.nga.Daaii mai.n aur merii tanahaaii #endindian \endsong