\startsong \stitle{kah rahii hai hashr me.n vo aa.Nkh sharmaaii huii} \lyrics{Ameer Minai} \singers{Ameer Minai} \printtitle #indian kah rahii hai hashr me.n vo aa.Nkh sharmaaii huii haae! kaise is bharii mahafil me.n rusvaaii huii aaiine me.n har adaa ko dekh kar kahate hai.n vo aaj dekhaa chaahiye kis kis kii hai aaii huii kah tuu ae gul_chii.n asiiraan-e-kafas ke vaaste to.D luu.n do chaar kaliyaa.N mai.n bhii murjhaaii huii mai.n to raaz-e-dil chhupaauu.N par chhipaa rahane bhii de jaan kii dushman ye zaalim aa.Nkh lalachaaii huii Gamazaa-o-naaz-o-adaa sab me.n hai hayaa kaa lagaao haae re! bachapan kii shoKii bhii hai sharmaaii huii vasl me.n Kaalii huii raqiibo.n se mahafil to kyaa sharm bhii jaae to jaanuu.N ke tanhaaii huii gard u.Dii aashiq kii turbat se to jhu.njhalaa ke kahaa waah sar cha.Dane lagii paa.Nv kii Thukaraaii huii #endindian \endsong