\startsong \stitle{Karabalaa garmii kaa roz-e-ja.ng kii kyo.nkar karuu.N bayaa.N} \lyrics{Babar Ali Anees} \singers{Babar Ali Anees} \printtitle #indian garmii kaa roz-e-ja.ng kii kyo.nkar karuu.N bayaa.N Dar hai ke masl-e-shamaa na jalane lage zabaa.N vo luu, ke alhazar! vo haraarat, ke alamaa.N! ran kii zamii.n to surK thii aur zard aasmaa.N aab-e-Kunak ko Kalaq tarasatii thii Kaak par goyaa hawaa se aag barasatii thii Kaak par vo luu, vo aaftaab kii shiddat, vo tab-o-taab kaalaa thaa ra.ng dhuup se din kaa misaal-e-shab Kud nahar-e-alqamaa ke bhii suukhe hue the lab Kaime jo the habaabo.n ke tapate the sab ke sab u.Datii thii Kaak, Kushk thaa chashmaa hayaat kaa Kaulaa huaa thaa dhuup se paanii faraat kaa jhiilo.n se chaarapaae na uThate the ta ba shaam maski.n me.n machhalio.n ke sama.ndar kaa thaa maqaam aahuu jo kaahile the to chiite siyaah_faam paththar pighal ke rah gaye the masl-e-mom khaam surKii u.Dii thii phuulo.n se, sabzii gayah se paanii kue.n me.n utaraa thaa saaye kii chaah se koso.n kisii shajar me.n na gul the na barg-o-baar ek ek nakhal jal rahaa thaasuurat-e-chinaar ha.Nsataa thaa koii gul na lahakataa thaa sabazaraar kaa.NTaa huii thiisuukh ke har shaakh-e-baar Daar garmii ye thii kii ziist se dil sab ke sard the patte bhii masle-e-cheharaa-e-madquuq zard the aab-e-rawaa.N se muu.Nh na uThaate the jaanavar ja.ngal me.n chhipate phirate the taair idhar udhar mardam the saat pardo.n ke a.ndar araq se tar Kas_Kaanaa-e-mizhgaa.N se nikalatii na thii nazar gar chashm se nikal kar Thahar jaae raah me.n par jaae.n laakh aable_paa-e-nigaah me.n sher uThate the na dhuup ke maare kachhaar se aahuu na muu.Nh nikalate the sabzaazaar se aaiinaa mahar kaa thaa muqaddar Gubaar se garduu.N ko tap cha.Dii thiizamii.n ke bukhaar se garmii se muztarib thaa zamaanaa zamiin par bhun jaataa thaa jo girataa thaa daanaa zamiin par girdaab par thaa sholaa-e-javaalaa kaa gumaa.N a.ngaare the habaab, to paanii sharar fishaa.N muu.Nh se nikal pa.Dii thii har ek maujkii zabaa.N tah par the sab niha.ng, magar thii labo.n pe jaa.N paanii thaa aag, garmii-e-roz-hisaab thii maahii jo siikh-e-mauj tak aaii kabaab thii aaiinaa-e-falak ko na thii taab-o-tab kii taab chhipane ko barq chaahatii thii daaman-e-sahaab sab ke sivaa thaa garm mizaajo.n ko iztiraab kaafuur-e-subah Dhuu.Ndhataa phirataa thaa aaftaab bha.Dakii thii aag gumbad-e-charkh-e-asiir me.n baadal chhipe the sab kurrah-e-zamharir me.n #endindian \endsong