\startsong \stitle{lab-e Khaamosh se afshaa hogaa} \lyrics{Ahmed Nadeem Qasmi} \singers{Ahmed Nadeem Qasmi} \printtitle #indian lab-e Kaamosh se afshaa hogaa raaz har ra.ng me.n rusvaa hogaa dil ke saharaa me.n chalii sard havaa abr gulazaar pe barasaa hogaa tum nahii.n the to sar-e-baam-e-Kayaal yaad kaa koii sitaaraa hogaa kis tavaqqo pe kisii ko dekhe.n koii tum se bhii hasii.n kyaa hogaa ziinat-e-halqaa-e-aaGosh bano duur baiThoge to charchaa hogaa zulmat-e-shab me.n bhii sharmaate ho dard chamakegaa to phir kyaa hogaa jis bhii fanakaar kaa shaahakaar ho tum us ne sadiyo.n tumhe.n sochaa hogaa kis qadar karb se chaTakii hai kalii shaaK se gul koii TuuTaa hogaa umr bhar roe faqat is dhun me.n raat bhiigii to ujaalaa hogaa saarii duniyaa hame.n pahachaanatii hai koii ham-saa bhii na tanhaa hogaa #endindian \endsong