\startsong \stitle{vo ko_ii aur na thaa cha.nd Khushk patte the} \singers{Ahmed Nadeem Qasmi - vo ko_ii aur na thaa cha.nd Khushk patte the} \printtitle #indian vo ko_ii aur na thaa cha.nd Kushk patte the shajar se TuuT ke jo fasl-e-gul pe roye the %[Kushk = dry; cha.nd = few; shajar = tree; fasl-e-gul = spring] abhii abhii tumhe.n sochaa to kuchh na yaad aayaa abhii abhii to ham ek-duusare se bichha.De the tumhaare baad chaman par jab ik nazar Daalii kalii kalii me.n Kizaa.N ke chiraaG jalate the tamaam umr vafaa ke gunaahagaar rahe ye aur baat ki ham aadamii to achchhe the shab-e-Kaamosh ko ta.nhaa_ii ne zabaa.N de dii pahaa.D guu.Njate the dasht san-sanaate the %[shab-e-Kaamosh = silent night; dahst = desert] vo ek baar mare jinako thaa hayaat se pyaar jo zi.ndagii se gurezaa.N the roz marate the %[hayaat = life; gurezaa.N = to run away from] naye Kayaal ab aate hai.n Dhal ke zehan me.n hamaare dil me.n kabhii khet lah-lahaate the %[zehan = mind] ye iratiqaa kaa chalan hai ki har zamaane me.n puraane log naye aadamii se Darate the %[iratiqaa = progressive] "Nadeem" jo bhii mulaaqaat thii adhuurii thii ki ek chehare ke piichhe hazaar chehare the #endindian \endsong