\startsong \stitle{ret se but na banaa ai mere achchhe fanakaar} \singers{Ahmed Nadeem Qasmi #10} \printtitle #indian ret se but na banaa ai mere achchhe fanakaar ek lamahe ko Thahar mai.n tujhe patthar laa duu.N mai.n tere saamane ambaar lagaa duu.N lekin kaun se ra.ng kaa patthar tere kaam aayegaa surK patthar jise dil kahatiihai bedil duniyaa yaa vo pattharaa_ii hu_ii aa.Nkh kaa niilaa patthar jis me.n sadiyo.n ke tahayyur ke pa.De ho.n Dore kyaa tujhe ruuh ke patthar kii zaruurat hogii jis pe haq baat bhii patthar kii tarah giratii hai ik vo patthar hai jise kahate hai.n tahaziib-e-safed us ke mar-mar me.n siyah Kuun jahlak jaataa hai ik i.nsaaf kaa patthar bhii to hotaa hai magar haath me.n teshaa-e-zar ho, to vo haath aataa hai jitane mayaar hai.n is daur ke sab patthar hai.n sher bhii raqs bhii tasviir-o-ginaa bhii patthar mere ilahaam teraa zahan-e-rasaa bhii patthar is zamaane me.n har fan kaa nishaa.N patthar hai haath patthar hai.n tere merii zubaa.N patthar hai ret se but na banaa ai mere achchhe fanakaar #endindian \endsong