\startsong \stitle{manzil-e-jaanaa.N ko jab ye dil ravaa.N thaa dosto} \lyrics{Jagannath Azad} \singers{Jagannath Azad} % Contributed by: Dinesh Shenoy \printtitle #indian manzil-e-jaanaa.N ko jab ye dil ravaa.N thaa dosto tum ko mai.n kaise bataauu.N kyaa samaa.N thaa dosto har gumaa.N pahane hue thaa ek malbuus-e-yaqii.n har yaqii.n jaa.N daadaa-e-husn-e-gumaa.N thaa dosto dil ki har dha.Dakan makaan-o-laamakaa.N par thii muhiit har nafas raaz-e-do_aalam kaa nishaa.N thaa dosto kyaa Kabar kis justajuu me.n is qadar aawaaraa thaa dil ke jo ganjiinaa-e-sarr-e-nihaa.N thaa dosto Dhuu.NDhane par bhii na milataa thaa mujhe apanaa vujuud mai.n talaash-e-dost me.n yuu.N benishaa.N thaa dosto markad-e-iqbal par haazir thii jab dil ki ta.Dap zi.ndagii kaa ek pardaa darmiyaa.N thaa dosto qurb ne paidaa kiyaa thaa Kud hii duuri kaa samaa.N faasalaa varna haayil kahaa.N thaa dosto ? beKudii me.n jab mere ho.nTo.n ne chuumaa qabr ko mere siina se gadaa-e-fursiyaa.N thaa dosto ruu-ba-ruu-e-jalwaa-e-markad, vujood-e-kam ayaar zarr-e-naaqis sharmasaar-e-imtehaa.N thaa dosto partav-e-dil me.n nihaa.N thii tah-bateh ye Kaamoshii ishq kaa wo bhii ik izhaar-e-bayaa.N thaa dosto jalwaagaah-e-dost kaa aalam kahuu.N mai.n tum se kyaa? jalwaa hi jalwaa wahaa.N thaa, mai.n kahaa.N thaa dosto? sajdagaah-e-Kurshiyaa.N thaa, yaa.N na jaane kyaa thaa wo jo merii nazaro.n ke aage aastaa.N thaa dosto dil ne har lamhe ko dekhaa ik niraale ra.ng me.n lamhaa lamhaa daastaa.N dar daastaa.N thaa dosto jis ke she'r-o-naGmagii par vusat-e-aalam thii ta.ng har subah ko woh dopahre bekaraa.N thaa dosto so rahaa thaa Kaak ke niiche jahaan-e-zi.ndagii raaz-e-hastii merii nazro.n par ayaa.N thaa dosto kaash tum bhii merii palko.n kaa nazaaraa dekhate ye nazaaraa kahqashaa.N dar kahqashaa.N thaa dosto #endindian \endsong