\startsong \stitle{kabhii yuu.N bhii aa merii aa.Nkh me.n ke merii nazar ko Khabar na ho} \lyrics{Bashir Badr} \singers{Bashir Badr} \printtitle #indian kabhii yuu.N bhii aa merii aa.Nkh me.n ke merii nazar ko Kabar na ho mujhe ek raat navaaz de magar uske baad sahar na ho %[navaaz - to grant] vo ba.Daa rahiim-o-kariim hai mujhe ye sifat bhii ataa kare tujhe bhuulane kii duaa karuu.N to duaa me.n merii asar na ho %[rahiim-o-kariim - kind & generous; sifat - talent] mere baazuo.n me.n thakii thakii , abhii mahav-e-Kvaab hai chaa.Ndanii na uThe sitaaro.n kii paalakii, abhii aahaTo.n kaa guzar na ho ye Gazal ki jaise hiran kii aa.Nkho.n me.n pichhalii raat kii chaa.Ndanii na bujhe Karaabe kii roshanii, kabhii becharaaG ye ghar na ho vo firaaq ho yaa visaal ho, terii yaad mahakegii ek din vo gulaab ban ke khilegaa kyaa, jo chiraaG ban ke jalaa na ho kabhii dhuup de, kabhii badaliyaa.N, dil-o-jaa.N se dono.n qubuul hai.n magar us nagar me.n na qaid kar jahaa.N zi.ndagii kii havaa na ho kabhii din kii dhuup me.n jhuum ke kabhii shab ke phuul ko chuum ke yuu.N hii saath saath chale.n sadaa kabhii Katm apanaa safar na ho %[shab - night] mere paas mere habiib aa zaraa aur dil ke qariib aa tujhe dha.Dakano.n me.n basaa luu.N mai.n ke bichha.Dane kaa kabhii Dar na ho %[habiib - beloved] #endindian \endsong