\startsong \stitle{mere saath tum ye duaa karo yo.n kisii ke haq me.n buraa na ho} \singers{Bashir Badr} % Contributed by Zafar Iqbal \printtitle #indian mere saath tum bhii duaa karo yuu.N kisii ke haq me.n buraa na ho kahii.n aur ho na ye haadasaa ko_ii raaste me.n judaa na ho mere ghar se raat kii sej tak vo ik aa.Nsuu kii lakiir hai zaraa ba.D ke chaa.Nd se puuchhanaa vo isii taraf se gayaa na ho NOTE: Some books have the first misra of the above sher as: merii chhat se raat kii subah tak ko_ii aa.Nsuuo.n kii lakiir hai sar-e-shaam Thaharii hu_ii zamii.n, aasamaa.N hai jhukaa huaa isii mo.D par mere vaaste vo charaaG le kar kha.Daa na ho vo farishte aap hii Dhuu.NDhiye kahaaniyo.n kii kitaab me.n jo buraa kahe.n na buraa sune ko_ii shaKs un se Kafaa na ho vo visaal ho ke firaaq ho terii aag mahakegii ek din vo gulaab ban ke khilegaa kyaa jo charaaG ban ke jalaa na ho mujhe yuu.N lagaa ki Kaamosh Kushbuu ke ho.NTh titalii ne chhuu liye i.nhii.n zard patto.n kii oT me.n ko_ii phuul soyaa huaa na ho isii ehatiyaat me.n mai.n rahaa, isii ehatiyaat me.n vo rahaa vo kahaa.N kahaa.N mere saath hai kisii aur ko ye pataa na ho #endindian \endsong