\startsong \stitle{diiwaanaa banaanaa hai to diiwaanaa banaa de} \singers{Behzad Lucknawi - diiwaanaa banaanaa hai to diiwaanaa banaa de} \printtitle #indian diiwaanaa banaanaa hai to diiwaanaa banaa de warnaa kahii.n taqdiir tamaashaa na banaa de aye dekhanewaalo.n mujhe ha.Ns ha.Ns ke na dekho tum ko bhii mohabbat kahii.n mujh saa na banaa de mai.n Dhuu.NDh rahaa huu.N merii wo shammaa kahaa.N hai jo bazm kii har chiiz ko parwaanaa banaa de aakhir koii suurat bhii to ho Kaanaa-e-dil kii Kaabaa nahii.n banataa hai to but_Kaanaa banaa de "behzad" har ek jaam pe ek sajdaa-e-mastii har zarre ko sang-e-dar-e-jaanaa.N naa banaa de #endindian \endsong