\startsong \stitle{tumhaare Khat me.n nayaa ik salaam kis kaa thaa} \lyrics{DaaG Dehlvi} \singers{DaaG Dehlvi} \printtitle #indian tumhaare Kat me.n nayaa ik salaam kis kaa thaa na thaa raqiib to aaKir wo naam kis kaa thaa rahaa hai na dil me.n wo be-dard aur dard rahaa muqiim kaun huaa hai maqaam kis kaa thaa vafaa kare.nge nibhaae.nge baat maane.nge tumhe.n bhii yaad hai kuchh ye kalaam kis kaa thaa guzar gayaa wo zamaanaa kahe.n to kis se kahe.n Kayaal mere dil ko subah-o-shaam kis kaa thaa #endindian \endsong