\startsong \stitle{Gazab kiyaa, tere vaade pe aitabaar kiyaa} \singers{Daag Dehlvi #16} \printtitle #indian Gazab kiyaa, tere vaade pe aitabaar kiyaa tamaam raat qayaamat kaa i.ntezaar kiyaa %[tamaam = whole] ha.Nsaa ha.Nsaa ke shab-e-vasl ashk-baar kiyaa tasalliyaa.N mujhe de-de ke beqaraar kiyaa ham aise mahv-e-nazaaraa na the jo hosh aataa magar tumhaare taGaaful ne hoshiyaar kiyaa fasaana-e-shab-e-Gam un ko ek kahaanii thhii kuchh aitabaar kiyaa aur kuchh naa-aitabaar kiyaa ye kisane jalvaa hamaare sar-e-mazaar kiyaa ki dil se shor uThaa, haa_e! beqaraar kiyaa