\startsong \stitle{na jaao haal-e-dil-e-zaar dekhate jaao} \singers{Daag Dehlvi #20} \printtitle #indian na jaao haal-e-dil-e-zaar dekhate jaao ki jii na chaahe to naachaar dekhate jaao bahaar-e-umr me.n baaG-e-jahaa.N kii sair karo khilaa huaa hai ye gulazaar dekhate jaao uThao aa.Nkh na sharmaao ye to mahafil hai Gazab se jaanib-e-aGayaar dekhate jaao huaa hai kyaa abhii ha.ngaamaa abhii kuchh hogaa fugaa.N me.n hashr ke aasaar dekhate jaao tumhaarii aa.nkh mere dil se besabab-bevajah hu_ii hai la.Dane ko tayyaar dekhate jaao na jaao ba.nd kiye aa.Nkh raharavaan-e-adam idhar-udhar bhii Kabaradaar dekhate jaao ko_ii na ko_ii har ik sher me.n hai baat zaruur janaab-e-"Daag" ke ashaar dekhate jaao #endindian \endsong