\startsong \stitle{do javaa.N dilo.n kaa Gam, duriyaa.N samajhatii hai.n} \lyrics{Danish Aligarhi} \singers{Danish Aligarhi} % Contributed by Harshad Kamat \printtitle #indian do javaa.N dilo.n kaa Gam, duriyaa.N samajhatii hai.n kaun yaad karataa hai, hichakiyaa.N samajhatii hai.n tum to Kud hii qaatil ho, tum ye baat kyaa jaano.n kyo.n huaa mai.n divaanaa, be.Diiyaa.N samajhatii hai.n baam se utaratii hai jab hasiin doshizaa jism kii nazaakat ko, sii.Diiyaa.N samajhatii hai.n %[baam = ladder; doshizaa = bride] yuu.N to sair-e-gulashan ko, kitane log aate hai.n phuul kaun to.Degaa Daaliyaa.N samajhatii hai.n jisane kar liyaa dil me.n pahalii baar ghar 'Danish' us ko merii aa.Nkho.n kii putaliyaa.N samajhatii hai.n #endindian \endsong