\startsong \stitle{Gam ba.De aate hai.n qaatil kii nigaaho.n kii tarah} \lyrics{Sudarshan Faakir} \singers{Sudarshan Faakir} \printtitle #indian Gam ba.De aate hai.n qaatil kii nigaaho.n kii tarah tum chhipaa lo mujhe, ae dost, gunaaho.n kii tarah apanii nazaro.n me.n gunaahagaar na hote, kyo.n kar dil hii dushman hai.n muKaalif ke gvaaho.n kii tarah har taraf ziist kii raaho.n me.n ka.Dii dhuup hai dost bas terii yaad ke saaye hai.n panaaho.n kii tarah jinake Kaatir kabhii ilzaam uThaae, 'faakir' vo bhii pesh aae hai.n insaaf ke shaaho.n kii tarah #endindian \endsong