\startsong \stitle{ham par tumhaarii chaah kaa ilzaam hii to hai} \lyrics{Faiz Ahmed Faiz} \singers{Faiz Ahmed Faiz} \printtitle #indian ham par tumhaarii chaah kaa ilzaam hii to hai dushnaam to nahii.n hai ye ikaraam hii to hai karate hai.n jis pe taa'n, koii jurm to nahii.n shauq-e-fuzuul-o-ulfat-e-nakaam hii to hai %[taa'n = satire] dil muddaii ke harf-e-malaamat se shaad hai ae jaan-e-jaa.N ye harf teraa naam hii to hai %[harf-e-malaamat = word of criticism] dil naa-ummiid to nahii.n, na-kaam hii to hai lambii hai Gam kii shaam, magar shaam hii to hai dast-e-falak me.n, gardish-e-taqadiir to nahii.n dast-e-falak me.n, gardish-e-ayyaam hii to hai aaKir to ek roz karegii nazar wafaa wo yaar-e-Kush_Kasaal sar-e-baam hii to hai %[Kush_Kasaal = virtuous] bhiigii hai raat 'faiz' Gazal ibtidaa karo waqt-e-sarod dard kaa ha.ngaam hii to hai
Montogomery Jail 9th March, 1954 |