\startsong \stitle{Soch kyuu.N meraa dil shaad nahii.n hai} \lyrics{Faiz Ahmed Faiz} \singers{Faiz Ahmed Faiz} \printtitle #indian kyuu.N meraa dil shaad nahii.n hai kyuu.N Kaamosh rahaa karataa huu.N chho.Do merii raam kahaanii mai.n jaisaa bhii huu.N achhaa huu.N meraa dil Gam_Gii.N hai to kyaa Gam_Gii.n ye duniyaa hai saarii ye dukh teraa hai na meraa ham sab kii jaagiir hai pyaarii tuu gar merii bhii ho jaaye duniyaa ke Gam yuu.N hii rahe.nge paap ke pha.nde, zulm ke ba.ndhan apane kahe se kaT na sake.nge Gam har haalat me.n mohalik hai apanaa ho yaa aur kisii kaa ronaa dhonaa, jii ko jalaanaa yuu.N bhii hamaaraa, yuu.N bhii hamaaraa %[mohalik = fatal] kyuu.N na jahaa.N kaa Gam apanaa le.n baad me.n sab tadabiire.n soche.n baad me.n sukh ke sapane dekhe.n sapno.n kii taabiire.n soche.n be-fikre dhan daulat waale ye aaKir kyuu.N Kush rahate hai.n inakaa sukh aapas me.n baa.Nte.n ye bhii aaKir ham jaise hai.n ham ne maanaa ju.ng ka.Dii hai sar phuuTe.nge,Kuun bahegaa Kuun me.n Gam bhii bah jaae.nge ham na rahe.n, Gam bhii na rahegaa #endindian \endsong