\startsong \stitle{kisii ko udaas dekh kar} \lyrics{Faiz Ahmed Faiz} \singers{Faiz Ahmed Faiz} \printtitle #indian tumhe.n udaas saa paataa huu.N mai.n kaaii din se naa jaaney kaun se sadame uThaa rahii ho tum wo shoKiyaa.N, wo tabassum, wo kah_kahe na rahe har ek chiiz ko hasrat se dekhatii ho tum chhupaa chhupaa ke Kamoshii me.n apanii bechainii Kud apane raaz kii taashiir ban gaii ho tum merii ummiid agar miT gaii to miTane do ummiid kyaa hai bas ek paas-o-pesh hai kuchh bhii nahii.n merii hayaat kii Gam_Giii.nio.n kaa Gam na karo Gam hayaat-e-Gam yak naqs hai kuchh bhii nahii.n tum apane husn kii raanaaiio.n par raham karo vafaa fareb tul havas hai kuchh bhii nahii.n mujhe tumhaare taGaaful se kyuu.n shikaayat ho merii fanaa meer ehasaas kaa taqaazaa hai main jaanataa huu.N ke duniyaa kaa Kauf hai tum ko mujhe Kabar hai ye duniyaa ajiib duniyaa hai yahaa.N hayaat ke parde me.n maut chalatii hai shikast saaz kii aawaaz me.n ruu naGmaa hai mujhe tumhaarii judaaii kaa koii ra.nj nahii.n mere Kayaal kii duniyaa me.n mere paas ho tum ye tum ne Thiik kaha hai tumhe.n milaa na karuu.N magar mujhe bataa do ki kyuu.N udaas ho tum hafaa na ho merii jurrat-e-taKtab par tumhe.n Kabar hai merii zi.ndagii kii aas ho tum meraa to kuchh bhii nahii.n hai mai.n ro ke jii luu.Ngaa magar Kudaa ke liye tum asiir-e-Gam na raho huaa hii kyaa jo zamaane ne tum ko chhiin liyaa yahaa.N par kaun huaa hai kisii kaa socho to mujhe qasam hai merii dukh bharii jawaanii kii mai.n Kush huu.N merii mohabbat ke phuul Thukaraa do mai.n apanii ruuh kii har ek Kushii miTaa luu.Ngaa magar tumhaarii masarrat miTaa nahii.n sakataa mai.n Kuud ko maut ke haatho.n me.n sau.Np sakataa huu.N magar ye bar-e-musaaib uThaa nahii.n sakataa tumhaare Gam ke sivaa aur bhii to Gam hai.n mujhe nijaat jinase mai.n ek lahaza paa nahii.n sakataa ye uu.Nche uu.Nche makaano.n kii deva.Diiyo.n ke tale har kaam pe bhuuke bhikaariiyo.n kii sadaa har ek ghar me.n aflaas aur bhuuk kaa shor har ek simt ye insaaniyat kii aah-o-bukaa ye karaKaano.n me.n lohe kaa shor-o-gul jis me.n hai dafn laakho.n Gariibo.n kii ruuh kaa naGmaa ye sharaho.n pe ra.ngiin saa.Diio.n kii jhalak ye jho.Npa.Diyo.n me.n Gariibo.n ke be-kafan laashe.n ye maal road pe karo.n kii rail pail kaa shor ye paTariyo.n pe Gariibo.n ke zard_ruu bachtche galii galii me.n bikate hue javaa.N chehare hasiin aa.Nkho.n me.n afsurdagii sii chhaii huii ye ja.ng aur ye mere watan ke shoK javaa.N khariidii jaatii hai.n uThatii javaaniyaa.N jinakii ye baat baat pe kanuun aur zabte kii giraft ye ziisq ye Gulaamii ye daur-e-majabuurii ye Gam hai.n bahot merii zi.ndagii miTaane ko udaas rah ke mere dil ko aur ra.nj na do #endindian \endsong