\startsong \stitle{tum aaye ho na shab-e-intazaar guzarii hai} \lyrics{Faiz Ahmed Faiz} \singers{Faiz Ahmed Faiz} % Contributed by: Umang Bali \printtitle #indian tum aaye ho na shab-e-intazaar guzarii hai talaash me.n hai sahar baar baar guzarii hai junuu.N me.n jitanii bhii guzarii bakaar guzarii hai agarche dil pe Karaabii hazaar guzarii hai huii hai hazarat-e-naaseh se guftaguu jis shab wo shab zaruur sar-e-kuu-e-yaar guzarii hai wo baat saare fasaane me.n jisakaa zikr na thaa wo baat unako bahot naa-gavaar guzarii hai na gul khile hai.n, na unase mile, na mai pii hai ajiib ra.ng me.n ab ke bahaar guzarii hai chaman me.n Gaarat-e-gulachii.N se jaane kyaa guzarii qafas se aaj sabaa beqaraar guzarii hai %[Gaarat = pillage, plunder; gulachii.N = flower-plucker; qafas = cage] #endindian \endsong