\startsong \stitle{dil-e-man musaafir-e-man} \lyrics{Faiz Ahmed Faiz} \singers{Faiz Ahmed Faiz} % Contributed by Faisal Siddiqui \printtitle #indian mere dil mere musaafir huaa phir se hukm saadir ke vatan badar ho.n ham tum de.n galii galii sadaae.N kare.n ruK nagar nagar kaa ke suraaG koii paae.N kisii yaar-e-naamaabar kaa har ek ajanabii se puuchhe.n jo pataa thaa apane ghar kaa sar-e-kuu-e-naashanaayaa.N hame.n din se raat karanaa kabhii is se baat karanaa kabhii us se baat karanaa tumhe.n kyaa kahuu.N ke kyaa hai shab-e-Gam burii balaa hai hame.n ye bhii thaa Ganimat jo koii shumaar hotaa hame.n kyaa buraa thaa maranaa agar ek baar hotaa
London, 1978
%[saadir = announced; vatan badar = exiled] %[naamaabar = letter carrier (postman)] %[kuu-e-naashanaayaa.N = unknown streets] #endindian \endsong