\startsong \stitle{kab yaad me.n teraa saath nahii.n kab haath me.n teraa haath nahii.n} \lyrics{Faiz Ahmed Faiz} \singers{Faiz Ahmed Faiz} % Contributed by Sana Ali \printtitle #indian kab yaad me.n teraa saath nahii.n kab haath me.n teraa haath nahii.n sad shukr ke apanii raato.n me.n ab hijr kii koii raat nahii.n mushkil hai.n agar haalaat vahaa.N dil bech aae.N jaa.N de aae.N dil vaalo kuuchaa-e-jaanaa.N me.n kyaa aise bhii haalaat nahii.n jis dhaj se koii maqtal me.n gayaa vo shaan salaamat rahatii hai ye jaan to aanii jaanii hai is jaa.N kii to koii baat nahii.n maidaan-e-vafaa darbaar nahio.n yaa.N naam-o-nasab kii puuchh kahaa.N aashiq to kisii kaa naam nahii.n kuchh ishq kisii kii zaat nahii.n gar baazii ishq kii baazii hai jo chaaho lagaa do Dar kaisaa gar jiit gae to kyaa kahanaa haare bhii to baazii maat nahii.n #endindian \endsong