\startsong \stitle{tumhaarii yaad ke jab zaKhm bharane lagate hai.n} \singers{Faiz Ahmed Faiz #47} \printtitle #indian tumhaarii yaad ke jab zaKm bharane lagate hai.n kisii bahaane tumhe.n yaad karane lagate hai.n hadiis-e-yaar ke unavaa.N nikharane lagate hai.n to har hariim me.n gesuu sa.Nvarane lagate hai.n %[hariim - house] har ajanabii hame.n maharam dikhaa_ii detaa hai jo ab bhii terii galii galii se guzarane lagate hai.n %[maharam = acquaintance] sabaa se karate hai.n Gurbat-nasiib zikr-e-vatan to chashm-e-subah me.n aa.Nsuu ubharane lagate hai.n %[Gurbat-nasiib = those in exile; chashm = eye] vo jab bhii karate hai.n is nutq-o-lab kii baKiyaagarii fazaa me.n aur bhii naGme.n bikharane lagate hai.n %[nutq-o-lab = speech and lips] dar-e-qafas pe a.Ndhere kii muhar lagatii hai to "faiz" dil me.n sitaare utarane lagate hai.n %[dar-e-qafas = door of the prison] #endindian \endsong