\startsong \stitle{kuchh muhatasibo.n kii Khilavat me.n kuchh vaa-iz ke ghar jaatii hai} \singers{Faiz Ahmed Faiz #53} \printtitle #indian kuchh muhatasibo.n kii Kilavat me.n kuchh vaa-iz ke ghar jaatii hai ham baadaa-kasho.n ke hisse ko ab jaam me.n kam kam aatii hai yuu.N arz-o-talab se kab ai dil patthar-dil paanii hote hai.n tum laakh razaa kii Kuu Daalo kab Kuu-e-sitamagar jaatii hai bedaad-garo.n kii bastii hai yaa.N daad kahaa.N fariyaad kahaa.N sar phoratii phiratii hai naadaa.N fariyaad jo dar dar jaatii hai haa.N jii ke zayaa.N kii ham ko bhii tashviish hai lekin kyaa kiijiye har raah jo udhar ko jaatii hai maqtal se guzar kar jaatii hai ab kuuchaa-e-dilabar kaa rah-rau rahazan bhii bane to baat bane pahare se uduu Talate hii nahii.n aur raat baraabar jaatii hai ham ahal-e-qafas tanhaa bhii nahii.n har roz nasiim-e-subah-e-vatan yaado.n se muattar aatii hai ashko.n se munavvar jaatii hai #endindian \endsong