\startsong \stitle{ik muammaa hai samajhaane kaa na samajhane kaa} \lyrics{Fani Badayuni} \singers{Fani Badayuni} % Contributed by Saleem A. Khanani \printtitle #indian ik muammaa hai samajhaane kaa na samajhane kaa zi.ndagii kahe ko hai Kvaab hai diivaane kaa zi.ndagii bhii to pashemaa.N hai yahaa.N laake mujhe Dhuu.NDhatii hai koii hiilaa mere mar jaane kaa haDDiyaa.N hai.n kaii lipaTii huii za.njiro.n me.n liye jaate hai.n janaazaa tere diivaane kaa tum ne dekhaa hai kabhii ghar ko badalate hue ra.ng aao dekho na tamashaa mere Gum_Kaane kaa ab ise daar pe lejaa ke sulaa de saaqii yuu.N behakanaa nahii.n achchhaa tere diivaane kaa ham ne chhaanii hai.n bahot dair-o-haram kii galiyaa.N kahii.n paayaa na Thikaanaa tere diivaane kaa har nafas umr-e-guzashtaa kii hai mayyat "fani" zi.ndagii naam hai mu.D mu.D ke jiye jaane kaa #endindian \endsong