\startsong \stitle{ab aksar chup-chup se rahe hai.n yuu.N hii kabhuu lab khole hai.n} \singers{Firaq Gorakhpuri #13} \printtitle #indian ab aksar chup-chup se rahe hai.n yuu.N hii kabhuu lab khole hai.n pahale "firaq" ko dekhaa hotaa ab to bahut kam bole hai.n din me.n ham ko dekhane vaalo apane apane hai.n auqaat jaao na tum in Kusk aa.Nkho.n par ham raato.n ko ro le hai.n fitarat merii ishq-o-muhabbat qismat merii tanhaa_ii kahane kii naubat hii na aa_ii ham bhii kasuu ke ho le hai.n baaG me.n vo Kvaab-aavar aalam mauj-e-sabaa ke ishaaro.n par Daalii Daalii nauras patte sahas sahaj jab Dole hai.n uf vo labo.n par mauj-e-tabassum jaise karavaTe.n le.n kau.nde.n haay vo aalam jumbish-e-mizagaa.N jab fitne par tole hai.n in raato.n ko hariim-e-naaz kaa ik aalam hoye hai nadiim khalvat me.n vo narm u.ngaliyaa.N ba.nd-e-qabaa jab khole hai.n %[hariim-e-naaz = ; khalvat = solitude; ba.nd-e-qabaa = buttons of the dress] Gam kaa fasaanaa sunane vaalo aaKir-e-shab aaraam karo kal ye kahaanii phir chhe.De.nge ham bhii zaraa ab so le hai.n %[aaKir-e-shab = end of night] ham log ab to paraaye se hai.n kuchh to bataao haal-e-"firaq" ab to tumhii.n ko pyaar kare hai.n ab to tumhii.n se bole hai.n #endindian \endsong