\startsong \stitle{shaam-e-Gam kuchh us nigaah-e-naaz kii baate.n karo} \singers{Firaq Gorakhpuri #14} \printtitle #indian shaam-e-Gam kuchh us nigaah-e-naaz kii baate.n karo beKudii ba.Dhatii chalii hai raaz kii baate.n karo nakhat-e-zulf-e-pareshaa.N, daastaan-e-shaam-e-Gam subah hone tak isii a.ndaaz kii baate.n karo %[nakhat-e-zulf-e-pareshaa.N = disarrayed fragrant hair] ye sukuut-e-yaas ye dil kii rago.n kaa TuuTanaa Kaamoshii me.n kuchh shikast-e-saaz kii baate.n karo %[sukuut = silence; yaas = disappointment] %[shikast-e-saaz = breakdown of musical instruments] har rag-e-dil vazd me.n aatii rahe dukhatii rahe yuu.N hii us ke jaa-o-bejaa naaz kii baate.b karo %[vajd = extreme happiness; jaa-o-bejaa = right and wrong] kuchh qafas kii tiiliyo.n se chhan rahaa hai nuur saa kuchh fazaa kuchh hasarat-e-paravaaz ki baate.n karo %[qafas = cage/prison; nuur = light; hasarat-e-paravaaz = desire to fly] jis kii furqat ne palaT dii ishq kii kaayaa "firaq" aaj usii isaa-nafas dam-saaz kii baate.n karo %[furqat = separation; isaa-nafas = breath of Christ] #endindian \endsong