\startsong \stitle{ai jazb-e-nihaa.N aur ko_ii hai ke vahii hai} \singers{Firaq Gorakhpuri #16} \printtitle #indian ai jazb-e-nihaa.N aur ko_ii hai ke vahii hai Kilavat-kadaa-e-dil me.n aavaaz hu_ii hai kah de to zaraa sar tere daaman me.n chhipaa luu.N aur yuu.N to muqaddar me.n mere be-vatanii hai vo ra.ng ho yaa buu ho ke baad-e-saharii ho ai baaG-e-jahaa.N jo bhii yahaa.N hai safarii hai ye baarish-e-a.nvar ye ra.ngiini-e-guftaar gul-baarii-o-gul-sairii-o-gul-pairahanii hai ai zi.ndagii-e-ishq me.n samajhaa nahii.n tujh ko jannat bhii jahannum bhii ye kyaa buulajabii hai hai nutq jise chuumane ke vaaste betaab sau baat kii ik baat terii be-sakhunii hai mauje.n hai.n mai-e-surK kii yaa khaTT-e-dahan hai.n lab hai ki ko_ii sholaa-e-barq-e-ambii hai jaage hai.n "firaq" aaj Gam-e-hijaraa.N me.n taa-subah aahistaa se aa jaao abhii aa.Nkh lagii hai #endindian \endsong